hawas ko hai nashaat-e-kaar kya kya
na ho marna toh jeene ka mazaa kya
tajaahul-peshgi se muddaa kya
kahan tak ai saraapa naaz kya kya
nawaazish-ha-e-beja dekhta hoon
shikaayat-ha-e-rangin ka gila kya
-e-be-mahaaba chaahta hoon
taghaaful-ha-e-tamkin-aazma kya
farogh-e-shola-e-khas yak-nafas hai
hawas ko paas-e-naamoos-e-wafa kya
nafas mauj-e-muheet-e-be-khudi hai
taghaaful-ha-e-saaqui ka gila kya
dimaagh-e-itr-e-pairaahan nahi hai
-e-aawaargi-ha-e-saba kya
dil-e-har-quatra hai saaz-e-anal-bahar
ham us ke hain hamaara poochhna kya
muhaaba kya hai main zaamin idhar dekh
shaheedaan-e-nigah ka khoon-baha kya
sun ai ghaarat-gar-e-jins-e-wafa sun
shikast-e-sheesha-e-dil ki sada kya
kiya kis ne jigar-daari ka daawa
shakeeb-e-khaatir-e-aashique bhala kya
ye quatil waada-e-sabr-aazma kyoon
ye kaafir fitna-e-taaqat-ruba kya
bala-e-jan hai ghaalib us ki har baat
ibaarat kya ishaarat kya ada kya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai