hasad se agar afsurda hai garm-e-tamaasha ho
ki chashm-e-tang shaayad kasrat-e-nazzaara se wa ho
b-quadr-e-hasrat-e- chahiye zauque-e-maaasi bhi
bharoon yak-gosha-e-daaman gar aab-e-haft-dariya ho
agar wo sarw-quad garm-e-khiraam-e-naaz aa jaawe
kaf-e-har-khaak-e-gulshan shakl-e-qumri naala-farsa ho
baham baaleedan-e-sang-o-gul-e-sahra ye chaahe hai
ki taar-e-jaada bhi kohsaar ko zunnaar-e-meena ho
hareef-e-wahshat-e-naaz-e-naseem-e-ishq jab aaoon
ki misl-e-ghuncha saaz-e-yak-gulistan dil muhayya ho
bajaae daana khirman yak-bayaaban baiza-e-kumri
mira haasil wo nuskha hai ki jis se khaak paida ho
kare kya saaz-e-beenish wo shaheed-e-dard-aagaahi
jise moo-e-dimaagh-e-be-khudi khawaab-e-zulekha ho
dil-e-joon-shama bahar-e-daawat-e-nazzaara laayaani
nigah labrez-e-ashk o seena maamoor-e-tamannaa ho
na dekhein roo-e-yak-dil sard ghair-az sham-e-kaafoori
khudaaya is quadar bazm-e-asad garm-e-tamaasha ho
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai