hareef-e-matlab-e-mushkil nahi fusoon-e-niyaaz
qubool ho yaa rab ki umr-e-khizr daraaz
na ho b-harza bayaaban-naward-e-waham-e-wajood
hanooz tere tasawwur mein hai nasheb-o-faraaz
wisaal jalwa tamaasha hai par dimaagh kahan
ki deeje aaina-e-intizaar ko pardaaz
har ek zarra-e-aashique hai aaftaab-parast
gai na hue par hawa-e-jalwa-e-naaz
na poochh wusaat-e-mai-khana-e-junoon ghaalib
jahan ye kaasa-e-gardoon hai ek khaak-andaaz
fareb-e-sanaat-e-ijaad ka tamaasha dekh
nigaah aks-farosh o khayaal aaina-saaz
zi-bas-ki jalwa-e-sayyaad hairat-aara hai
udi hai safha-e-khaatir se soorat-e-parwaaz
hujoom-e-fikr se dil misl-e-mauj larze hai
ki sheesha naazuk o sahba-e-aabgeen-gudaaz
asad se tark-e-wafa ka guman wo maani hai
ki kheenchiye par-e-taair se soorat-e-parwaaz
hanooz ai asar-e-deed nang-e-ruswaai
nigaah fitna-khiraam o dar-e-do-aalam baaz
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai