har quadam doori-e- hai numaayan mujh se
meri raftaar se bhaage hai bayaaban mujh se
dars-e-unwaan-e-tamaasha b-taghaaful khush-tar
hai nigah rishta-e-sheeraaza-e-mizgan mujh se
wahshat-e-aatish-e- se shab-e-tanhaai mein
soorat-e-dood raha saaya gurezan mujh se
gham-e-ushshaaque na ho saadgi-aamoz-e-butan
kis quadar khana-e-aaeena hai weeran mujh se
asar-e-aabla se jaada-e-sahra-e-junoon
soorat-e-rishta-e-gauhar hai charaaghan mujh se
be-khudi bistar-e-tamheed-e-faraaghat ho jo
pur hai saae ki tarah mera shabistan mujh se
shauque-e-deedaar mein gar tu mujhe gardan maare
ho nigah misl-e-gul-e-shama pareshan mujh se
beksi-ha-e-shab-e-hijr ki wahshat hai hai
saaya khursheed-e-quayaamat mein hai pinhan mujh se
gardish-e-saaghar-e-sad-jalwa-e-rangin tujh se
aaina-daari-e-yak-deeda-e-hairan mujh se
nigah-e-garm se ek aag tapakti hai asad
hai charaaghan khas-o-khaashaak-e-gulistan mujh se
bastan-e-ahad-e-mohabbat hama naadaani tha
chashm-e-nakushooda raha uqda-e-paiman mujh se
aatish-afrozi-e-yak-shola-e-ima tujh se
chashmak-aaraai-e-sad-shahar charaaghan mujh se
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai