ham par se tark-e-wafa ka guman nahi
ik chhed hai wagarna muraad imtihan nahi
kis munh se shukr keejiye is lutf-e-khaas ka
pursish hai aur pa-e- darmiyan nahi
ham ko sitam azeez sitamgar ko ham azeez
naa-meharban nahi hai agar meharban nahi
bosa nahi na deejiye dushnaam hi sahi
aakhir zaban toh rakhte ho tum gar dahan nahi
har-chand jan-gudaazi-e-quahar-o-itaab hai
har-chand pusht-e-garmi-e-taab-o-tawan nahi
jan mutrib-e-taraana-e-hal-mim-mazeed hai
lab parda-sanj-e-zamazma-e-al-aman nahi
khanjar se cheer seena agar dil na ho do-neem
dil mein chhuri chubho miza gar khoon-chakan nahi
hai nang-e-seena dil agar aatish-kada na ho
hai aar-e-dil nafas agar aazar-fishan nahi
nuqusan nahi junoon mein bala se ho ghar kharaab
sau gaz zamin ke badle bayaaban giran nahi
kahte ho kya likha hai tiri saranwisht mein
goya jabin pe sajda-e-but ka nishan nahi
paata hoon us se daad kuchh apne kalaam ki
roohul-qudus agarche mira ham-zaban nahi
jan hai baha-e-bosa wale kyoon kahe abhi
ghaalib ko jaanta hai ki wo neem-jan nahi
jis ja ki pa-e-sail-e-bala darmiyan nahi
deewaangan ko wan hawas-e-khaanman nahi
gul ghunchaghi mein gharqua-e-dariya-e-rang hai
ai aaghi fareb-e-tamaasha kahan nahi
kis jurm se hai chashm tujhe hasrat qubool
barg-e-hina magar miza-e-khoon-fishan nahi
har rang-e-gardish aaina ijaad-e-dard hai
ashk-e-sahaab juz b-wida-e-khizan nahi
juz ijz kya karoon b-tamannaa-e-be-khudi
taaqat hareef-e-sakhti-e-khawaab-e-giran nahi
ibrat se poochh dard-e-pareshaani-e-nigaah
ye gard-e-waham juz basar-e-imtihan nahi
barque-e-bajaan-e-hausla aatish-fagan asad
ai dil-fasurda taaqat-e-zabt-e-fughan nahi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai