hairan hoon ko rooon ki peetoon jigar ko main
maqdoor ho toh saath rakhoon nauhaagar ko main
chhoda na rashk ne ki tire ghar ka naam loon
har ik se poochhta hoon ki jaaoon kidhar ko main
jaana pada raqueeb ke dar par hazaar baar
ai kaash jaanta na tire rah-guzar ko main
hai kya jo kas ke baandhiye meri bala dare
kya jaanta nahi hoon tumhaari kamar ko main
lo wo bhi kahte hain ki ye be-nang-o-naam hai
ye jaanta agar toh lutaata na ghar ko main
chalta hoon thodi door har ik tez-rau ke saath
pahchaanta nahi hoon abhi raahbar ko main
khwaahish ko ahamquon ne parastish diya quaraar
kya poojta hoon us but-e-bedaad-gar ko main
phir be-khudi mein bhool gaya -e-koo-e-yaar
jaata wagarna ek din apni khabar ko main
apne pe kar raha hoon quayaas ahal-e-dahar ka
samjha hoon dil-pazeer mata-e-hunar ko main
ghaalib khuda kare ki sawaar-e-samand-naaz
dekhoon ali bahaadur-e-aali-guhar ko main
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai