hai kis quadar halaak-e-fareb-e-wafa-e-
bulbul ke kaarobaar pe hain khanda-ha-e-
aazaadi-e-naseem mubaarak ki har taraf
toote pade hain halqua-e-daam-e-hawa-e-gul
jo tha so mauj-e-rang ke dhoke mein mar gaya
ai waae naala-e-lab-e-khoonin-nawa-e-gul
khush-haal us hareef-e-siyah-mast ka ki jo
rakhta ho misl-e-saaya-e-gul sar-b-pa-e-gul
ijaad karti hai use tere liye bahaar
mera raqueeb hai nafas-e-itr-sa-e-gul
sharminda rakhte hain mujhe baad-e-bahaar se
meena-e-be-sharaab o dil-e-be-hawa-e-gul
satwat se tere jalwa-e-husn-e-ghuyoor ki
khoon hai miri nigaah mein rang-e-ada-e-gul
tere hi jalwe ka hai ye dhoka ki aaj tak
be-ikhtiyaar daude hai gul dar-quafa-e-gul
ghaalib mujhe hai us se ham-aaghoshi aarzoo
jis ka khayaal hai gul-e-jeb-e-quaba-e-gul
deewaangan ka chaara farogh-e-bahaar hai
hai shaakh-e-gul mein panja-e-khooban bajaae gul
mizgan talak rasaai-e-lakht-e-jigar kahan
ai waae gar nigaah na ho aashna-e-gul
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai