hai bas-ki har ik un ke ishaare mein nishan aur
karte hain mohabbat toh guzarta hai guman aur
yaa-rab wo na samjhe hain na samjhenge miri baat
de aur un ko jo na de mujh ko zaban aur
abroo se hai kya us nigah-e-naaz ko paiwand
hai teer muqarrar magar is ki hai kaman aur
tum shahar mein ho toh hamein kya jab uthenge
le aaenge bazaar se ja kar dil o jan aur
har chand subuk-dast hue but-shikni mein
ham hain toh abhi raah mein hai sang-e-giran aur
hai khoon-e-jigar josh mein dil khol ke rota
hote jo kai deeda-e-khoonnaaba-fishan aur
marta hoon is aawaaz pe har chand sar ud jaae
jallaad ko lekin wo kahe jaaein ki han aur
logon ko hai khursheed-e-jahan-taab ka dhoka
har roz dikhaata hoon main ik daagh-e-nihan aur
leta na agar dil tumhein deta koi dam chain
karta jo na marta koi din aah-o-fughan aur
paate nahi jab raah toh chadh jaate hain naale
rukti hai miri taba toh hoti hai rawan aur
hain aur bhi duniyaa mein sukhan-war bahut achchhe
kahte hain ki ghaalib ka hai andaaz-e-bayan aur
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai