hai aarmeedgi mein nikohish baja mujhe
subh-e-watan hai khanda-e-dandan-numa mujhe
dhoonde hai us mughannni-e-aatish-nafas ko ji
jis ki sada ho jalwa-e-barque-e- mujhe
mastaana tay karoon hoon rah-e-waadi-e-khayaal
ta baaz-gasht se na rahe muddaa mujhe
karta hai bas-ki baagh mein tu be-hijaabiyan
aane lagi hai nikhat-e- se haya mujhe
khulta kisi pe kyoon mire dil ka moaamla
sheron ke intikhaab ne ruswa kiya mujhe
wan rang-ha b-parda-e-tadbeer hain hunooz
yan shola-e-charaagh hai barg-e-hina mujhe
parwaaz-ha niyaaz-e-tamaasha-e-husn-e-dost
baal-e-kushaada hai nigah-e-aashna mujhe
az-khud-guzashtagi mein khamoshi pe harf hai
mauj-e-ghubaar-e-surma hui hai sada mujhe
ta chand past fitarti-e-tab-e-aarzoo
yaa rab mile bulandi-e-dast-e-dua mujhe
main ne junoon se ki jo asad iltimaas-e-rang
khoon-e-jigar mein ek hi ghota diya mujhe
hai pechtaab rishta-e-sham-e-sahar-gahi
khajlat gudaazi-e-nafas-e-naa-rasa mujhe
yan aab-o-daana mausam-e-gul mein haraam hai
zunnaar-e-wa-gusista hai mauj-e-saba mujhe
yakbaar imtihaan-e-hawas bhi zaroor hai
ai josh-e-ishq baada-e-mard-aazma mujhe
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai