haasil se haath dho baith ai aarzoo-khiraami
josh-e-girya mein hai doobi hui asaami
us shama ki tarah se jis ko koi bujha de
main bhi jale-huon mein hoon daagh-e-naa-tamaami
karte ho shikwa kis ka tum aur bewfaai
sar peette hain apna ham aur nek-naami
sad-rang-e- katarna dar-parda quatl karna
tegh-e-ada nahi hai paaband-e-be-niyaami
tarf-e-sukhan nahi hai mujh se khuda-na-karda
hai naama-bar ko us se daawa-e-ham-kalaami
taaqat fasaana-e-baad andesha shola-ijaad
ai gham hunooz aatish ai dil hunooz khaami
har chand umr guzri aazurdagi mein lekin
hai sharah-e-shauque ko bhi joon shikwa naa-tamaami
hai yaas mein asad ko saaqui se bhi faraaghat
dariya se khushk guzre maston ki tishna-kaami
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai