ghuncha-e-naa-shagufta ko door se mat dikha ki yoon
bose ko poochhta hoon main munh se mujhe bata ki yoon
pursish-e-tarz-e-dilabri keejiye kya ki bin kahe
us ke har ek ishaare se nikle hai ye ada ki yoon
ke waqt mai piye saath raqueeb ko liye
aae wo yan kare par na kare khuda ki yoon
ghair se raat kya bani ye jo kaha toh dekhiye
saamne aan baithna aur ye dekhna ki yoon
bazm mein us ke roo-b-roo kyoon na khamosh baithiye
us ki toh khaamushi mein bhi hai yahi muddaa ki yoon
main ne kaha ki bazm-e-naaz chahiye ghair se tahi
sun ke sitam-zareef ne mujh ko utha diya ki yoon
mujh se kaha jo yaar ne jaate hain hosh kis tarah
dekh ke meri be-khudi chalne lagi hawa ki yoon
kab mujhe koo-e-yaar mein rahne ki waza yaad thi
aaina-daar ban gai hairat-e-naqsh-e-pa ki yoon
gar tire dil mein ho khayaal wasl mein shauque ka zawaal
mauj muheet-e-aab mein maare hai dast-o-pa ki yoon
jo ye kahe ki rekhta kyoonke ho rashk-e-faarsi
gufta-e-ghaalib ek baar padh ke use suna ki yoon
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai