gulshan mein bandobast b-rang-e-digar hai aaj
qumri ka tauque halqua-e-bairoon-e-dar hai aaj
aata hai ek paara-e- har fughan ke saath
taar-e-nafas kamand-e-shikaar-e-asar hai aaj
ai aafiyat kinaara kar ai intizaam chal
sailaab-e-girya darpay-e-deewar-o-dar hai aaj
maazooli-e-tapish hui ifraat-e-intizaar
chashm-e-kushaada halqua-e-bairoon-e-dar hai aaj
hairat-farosh-e-sad-nigraani hai iztiraar
sar-rishta chaak-e-jeb ka taar-e- hai aaj
hoon daagh-e-neem-rangi-e-shaam-e-wisaal-e-yaar
noor-e-charaagh-e-bazm se josh-e-sahar hai aaj
karti hai aajizi-e-safar sokhtan tamaam
pairaahan-e-khasak mein ghubaar-e-sharar hai aaj
ta-subh hai b-manzil-e-maqsad raseedni
dood-e-charaagh-e-khana ghubaar-e-safar hai aaj
door-ooftaada-e-chaman-e-fikr hai asad
murgh-e-khayaal bulbul-e-be-baal-o-par hai aaj
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai