gila hai shauque ko mein bhi tangi-e-ja ka
guhar mein mahaw hua iztiraab ka
ye jaanta hoon ki tu aur paasukh-e-maktoob
magar sitam-zada hoon zauque-e-khaama-farsa ka
hina-e-pa-e-khizan hai bahaar agar hai yahi
dawaam-e-kulfat-e-khaatir hai aish duniyaa ka
gham-e-firaaque mein takleef-e-sair-e-baagh na do
mujhe dimaagh nahi khanda-ha-e-beja ka
hanooz maharmi-e-husn ko tarasta hoon
kare hai har-bun-e-moo kaam chashm-e-beena ka
dil us ko pahle hi naaz-o-ada se de baithe
hamein dimaagh kahan husn ke taquaza ka
na kah ki girya b-miqudaar-e-hasrat-e-dil hai
miri nigaah mein hai jam-o-kharch dariya ka
falak ko dekh ke karta hoon us ko yaad asad
jafa mein us ki hai andaaz kaar-farma ka
mira shumool har ik dil ke pech-o-taab mein hai
main muddaa hoon tapish-naama-e-tamannaa ka
mili na wusaat-e-jaulaan yak junoon ham ko
adam ko le gae dil mein ghubaar sahra ka
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai