ghar jab bana liya tire dar par kahe baghair
jaanega ab bhi tu na mira ghar kahe baghair
kahte hain jab rahi na mujhe taaqat-e-
jaanoon kisi ke ki main kyoonkar kahe baghair
kaam us se aa pada hai ki jis ka jahaan mein
lewe na koi naam sitamgar kahe baghair
ji mein hi kuchh nahi hai hamare wagarna ham
sar jaae yaa rahe na rahein par kahe baghair
chhodoonga main na us but-e-kaafir ka poojna
chhode na khalque go mujhe kaafar kahe baghair
maqsad hai naaz-o-ghamza wale guftugoo mein kaam
chalta nahi hai dashna-o-khanjar kahe baghair
har chand ho mushaahida-e-haque ki guftugoo
banti nahi hai baada-o-saaghar kahe baghair
bahra hoon main toh chahiye doona ho iltifaat
sunta nahi hoon baat mukarrar kahe baghair
ghaalib na kar huzoor mein tu baar baar arz
zaahir hai tera haal sab un par kahe baghair
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai