-e-duniyaa se gar paai bhi fursat sar uthaane ki
falak ka dekhna taqureeb tere aane ki
khulega kis tarah mazmoon mire maktoob ka yaa-rab
quasam khaai hai us kaafir ne kaaghaz ke jalaane ki
lipatna parniyan mein shola-e-aatish ka pinhan hai
wale mushkil hai hikmat dil mein soz-e-gham chhupaane ki
unhein manzoor apne zakhmiyon ka dekh aana tha
uthe the sair-e-gul ko dekhna shokhi bahaane ki
hamaari saadgi thi iltifaat-e-naaz par marna
tira aana na tha zaalim magar tamheed jaane ki
lakad koob-e-hawaadis ka tahammul kar nahi sakti
miri taaqat ki zaamin thi buton ki naaz uthaane ki
kahoon kya khoobi-e-auza-e-abna-e-zaman ghaalib
badi ki us ne jis se ham ne ki thi baar-ha neki
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai