ghair lein mahfil mein bose jaam ke
ham rahein yoon tishna-lab paighaam ke
khastagi ka tum se kya shikwa ki ye
hathkande hain charkh-e-neeli-faam ke
khat likhenge garche matlab kuchh na ho
ham toh aashique hain tumhare naam ke
pi zamzam pe mai aur subh-dam
dhoe dhabbe jaama-e-ehraam ke
ko aankhon ne phansaaya kya magar
ye bhi halque hain tumhare daam ke
shaah ke hai ghusl-e-sehhat ki khabar
dekhiye kab din phirein hammaam ke
ishq ne ghaalib nikamma kar diya
warna ham bhi aadmi the kaam ke
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai