gai wo baat ki ho guftugoo toh kyoonkar ho
kahe se kuchh na hua phir kaho toh kyoonkar ho
hamare zehan mein us fikr ka hai naam wisaal
ki gar na ho toh kahan jaaein ho toh kyoonkar ho
adab hai aur yahi kashmakash toh kya keeje
haya hai aur yahi goo-magoo toh kyoonkar ho
tumhin kaho ki guzaara sanam-paraston ka
buton ki ho agar aisi hi khoo toh kyoonkar ho
ulajhte ho tum agar dekhte ho aaeena
jo tum se shahar mein hon ek do toh kyoonkar ho
jise ho roz-e-siyaah mera sa
wo shakhs din na kahe ko toh kyoonkar ho
hamein phir un se ummeed aur unhein hamaari quadr
hamaari baat hi poochhein na wo toh kyoonkar ho
ghalat na tha hamein khat par guman tasalli ka
na maane deeda-e-deedaar jo toh kyoonkar ho
bataao us miza ko dekh kar ki mujh ko quaraar
wo neesh ho rag-e-jan mein faro toh kyoonkar ho
mujhe junoon nahi ghaalib wale b-quaul-e-huzoor
firaaque-e-yaar mein taskeen ho toh kyoonkar ho
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai