ghaafil b-waham-e-naaz khud-aara hai warna yan
be-shaana-e-saba nahi turra gayaah ka
bazm-e-quadah se aish-e-tamannaa na rakh ki rang
said-e-ze-daam-e-jasta hai us daam-gaah ka
rahmat agar qubool kare kya baeed hai
sharmindagi se uzr na karna gunaah ka
maqtal ko kis nashaat se jaata hoon main ki hai
pur- khayaal-e-zakhm se daaman nigaah ka
jan dar-hawa-e-yak-nigah-e-garm hai asad
hai wakeel tire daad-khwaah ka
uzlat-guzeen-e-bazm hain waamaandaagaan-e-deed
meena-e-mai hai aabla pa-e-nigaah ka
har gaam aable se hai dil dar-tah-e-quadam
kya beem ahal-e-dard ko sakhti-e-raah ka
taaoos-e-dar-rikaab hai har zarra aah ka
yaa-rab nafas ghubaar hai kis jalwa-gaah ka
jeb-e-niyaaz-e-ishq nishan-daar-e-naaz hai
aaeena hoon shikastan-e-tarf-e-kulaah ka
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai