fariyaad ki koi lay nahi hai
naala paaband-e-nay nahi hai
kyoon bote hain baaghban tombe
gar baagh gada-e-mai nahi hai
har-chand har ek shay mein tu hai
par tujh si koi shay nahi hai
han khaaiyo mat fareb-e-hasti
har-chand kahein ki hai nahi hai
shaadi se guzar ki na howe
urdi jo na ho toh day nahi hai
kyoon radd-e-quadah kare hai zaahid
mai hai ye magas ki quay nahi hai
hasti hai na kuchh hai ghaalib
aakhir tu kya hai ai nahi hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai