ek ja harf-e-wafa likkha tha so bhi mit gaya
zaahiran kaaghaz tire khat ka galat-bar-daar hai
ji jale zauque-e- ki naa-tamaami par na kyoon
ham nahi jalte nafas har chand aatish-baar hai
se paani mein bujhte waqt uthti hai sada
har koi darmaandagi mein naale se naachaar hai
hai wahi bad-masti-e-har-zarra ka khud uzr-khwaah
jis ke jalwe se zamin ta aasman sarshaar hai
mujh se mat kah tu hamein kahta tha apni zindagi
zindagi se bhi mira ji in dinon be-zaar hai
aankh ki tasweer sar-naame pe kheenchi hai ki ta
tujh pe khul jaawe ki is ko hasrat-e-deedaar hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai