ek ek quatre ka mujhe dena pada hisaab
khoon-e-jigar wadeeat-e-mizgaan-e-yaar tha
ab main hoon aur maatam-e-yak-shahar-aarzoo
toda jo tu ne aaina timsaal-daar tha
galiyon mein meri naash ko kheenche phiro ki main
jan-daada-e-hawa-e-sar-e-rahguzaar tha
mauj-e-saraab-e-dasht-e-wafa ka na poochh haal
har zarra misl-e-jauhar-e-tegh aab-daar tha
kam jaante the ham bhi -e-ishq ko par ab
dekha toh kam hue p -e-rozgaar tha
kis ka junoon-e-deed tamannaa-shikaar tha
aaeena-khana waadi-e-jauhar-ghubaar tha
kis ka khayaal aaina-e-intizaar tha
har barg-e-gul ke parde mein dil be-quaraar tha
joon ghuncha-o-gul aafat-e-faal-e-nazar na poochh
paikan se tere jalwa-e-zakhm aashkaar tha
dekhi wafa-e-fursat-e-ranj-o-nashaat-e-dahar
khamyaaza yak-daraazi-e-umr-e-khumaar tha
subh-e-quayaamat ek dum-e-gurg thi asad
jis dasht mein wo shokh-e-do-aalam shikaar tha
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai