dost -khwaari mein meri sai farmaawenge kya
zakhm ke bharte talak naakhun na badh jaawenge kya
be-niyaazi had se guzri bandaa-parwar kab talak
ham kahenge haal-e- aur aap farmaawenge kya
hazrat-e-naaseh gar aawein deeda o dil farsh-e-raah
koi mujh ko ye toh samjha do ki samjhaawenge kya
aaj wan tegh o kafan baandhe hue jaata hoon main
uzr mere quatl karne mein wo ab laawenge kya
gar kiya naaseh ne ham ko quaid achchha yoon sahi
ye junoon-e-ishq ke andaaz chhut jaawenge kya
khana-zaad-e-zulf hain zanjeer se bhaagenge kyoon
hain giraftaar-e-wafa zindan se ghabraawenge kya
hai ab is maamoore mein quahat-e-gham-e-ulfat asad
ham ne ye maana ki dilli mein rahein khaawenge kya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai