diya hai agar us ko bashar hai kya kahiye
hua raqueeb toh ho naama-bar hai kya kahiye
ye zid ki aaj na aawe aur aae bin na rahe
quaza se shikwa hamein kis quadar hai kya kahiye
rahe hai yoon gah-o-be-gah ki koo-e-dost ko ab
agar na kahiye ki dushman ka ghar hai kya kahiye
zahe karishma ki yoon de rakkha hai ham ko fareb
ki bin kahe hi unhein sab khabar hai kya kahiye
samajh ke karte hain bazaar mein wo pursish-e-haal
ki ye kahe ki sar-e-rahguzar hai kya kahiye
tumhein nahi hai sar-e-rishta-e-wafa ka khayaal
hamare haath mein kuchh hai magar hai kya kahiye
unhein sawaal pe zom-e-junoon hai kyoon ladiye
hamein jawaab se quat-e- hai kya kahiye
hasad saza-e-kamaal-e-sukhan hai kya keejiye
sitam baha-e-mata-e-hunar hai kya kahiye
kaha hai kis ne ki ghaalib bura nahi lekin
siwaae is ke ki aashufta-sar hai kya kahiye
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai