se tiri nigaah jigar tak utar gai
donon ko ik ada mein raza-mand kar gai
shaque ho gaya hai seena khusha lazzat-e-faraagh
takleef-e-parda-daari-e-zakhm-e-jigar gai
wo baada-e-shabaana ki sarmastiyan kahan
uthiye bas ab ki lazzat-e-khawaab-e- gai
udti phire hai khaak miri koo-e-yaar mein
baare ab ai hawa hawas-e-baal-o-par gai
dekho toh dil-farebi-e-andaaz-e-naqsh-e-pa
mauj-e-khiraam-e-yaar bhi kya gul katar gai
har bul-hawas ne husn-parasti shiaar ki
ab aabroo-e-shewa-e-ahal-e-nazar gai
nazzaare ne bhi kaam kiya wan naquab ka
masti se har nigah tire rukh par bikhar gai
farda o di ka tafarqua yak baar mit gaya
kal tum gae ki ham pe quayaamat guzar gai
maara zamaane ne asdullaah khan tumhein
wo walawle kahan wo jawaani kidhar gai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai