mira soz-e-nihan se be-muhaaba jal gaya
aatish-e-khaamosh ki maanind goya jal gaya
mein zauque-e-wasl o yaad-e-yaar tak baaqui nahi
aag is ghar mein lagi aisi ki jo tha jal gaya
main adam se bhi pare hoon warna ghaafil baar-ha
meri aah-e-aatishin se baal-e-anqua jal gaya
arz keeje jauhar-e-andesha ki garmi kahan
kuchh khayaal aaya tha wahshat ka ki sahra jal gaya
dil nahi tujh ko dikhaata warna daaghon ki bahaar
is charaaghan ka karoon kya kaar-farma jal gaya
main hoon aur afsurdagi ki aarzoo ghaalib ki dil
dekh kar tarz-e-tapaak-e-ahal-e-duniyaa jal gaya
khaanmaan-e-aashiquan dukaan-e-aatish-baaz hai
shola-roo jab ho gae garm-e-tamaasha jal gaya
ta kuja afsos-e-garmi-ha-e-sohbat ai khayaal
dil ba-soz-e-aatish-e-daagh-e-tamannaa jal gaya
hai asad begaana-e-afsurdagi ai beksi
dil z-andaaz-e-tapaak-e-ahal-e-duniyaa jal gaya
dood mera sumbulistan se kare hai ham-sari
bas-ki shauque-e-aatish-gul se saraapa jal gaya
shama-rooyan ki sar-angusht-e-hinaai dekh kar
ghuncha-e-gul par-fishan parwaana-aasa jal gaya
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai