laga kar lag gaya un ko bhi tanha baithna
baare apni beksi ki ham ne paai daad yan
hain zawaal-aamaada ajza aafreenash ke tamaam
mahar-e-gardoon hai -e-rahguzaar-e-baad yan
hai tarahhum-aafrin aaraaish-e-be-daad yan
ashk-e-chashm-e-daam hai har daana-e-sayyaad yan
hai gudaaz-e-mom andaaz-e-chakeedan-ha-e-khoon
neesh-e-zamboor-e-asal hai nashtar-e-fassaad yan
naa-gawaara hai hamein ehsaan-e-saahab-daaैlatan
hai zar-e-gul bhi nazar mein jauhar-e-faulaad yan
jumbish-e-dil se hue hain uqda-ha-e-kaar wa
kam-tarin mazdoor-e-sangin-dast hai farhaad yan
quatra-ha-e-khoon-e-bismil zeb-e-daaman hain asad
hai tamaasha karadni gul-cheeni-e-jallaad yan
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai