dil hi toh hai na sang-o-khisht se bhar na aae kyoon
roenge ham hazaar baar koi hamein sataae kyoon
dair nahi haram nahi dar nahi aastan nahi
baithe hain rahguzar pe ham ghair hamein uthaae kyoon
jab wo -e-dil-faroz soorat-e-mehar-e-neemroz
aap hi ho nazzaara-soz parde mein munh chhupaae kyoon
dashna-e-ghamza jan-sitan naawak-e-naaz be-panaah
tera hi aks-e-rukh sahi saamne tere aae kyoon
quaid-e-hayaat o band-e-gham asl mein donon ek hain
maut se pahle aadmi gham se najaat paae kyoon
husn aur us pe husn-e-zan rah gai bul-hawas ki sharm
apne pe etimaad hai ghair ko aazmaae kyoon
wan wo ghuroor-e-ijz-o-naaz yan ye hijaab-e-paas-e-wazaa
raah mein ham milein kahan bazm mein wo bulaae kyoon
han wo nahi khuda-parast jaao wo bewfa sahi
jis ko ho deen o dil azeez us ki gali mein jaae kyoon
ghaalib-e-khasta ke baghair kaun se kaam band hain
roiye zaar zaar kya keejiye haae haae kyoon
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai