deewaangi se dosh pe zunnaar bhi nahi
yaani hamare jeb mein ik taar bhi nahi
ko niyaaz-e-hasrat-e-deedaar kar chuke
dekha toh ham mein taaqat-e-deedaar bhi nahi
milna tira agar nahi aasan toh sahal hai
dushwaar toh yahi hai ki dushwaar bhi nahi
be- umr kat nahi sakti hai aur yan
taaqat b-quadar-e-lazzat-e-aazaar bhi nahi
shoreedgi ke haath se hai sar wabaal-e-dosh
sahra mein ai khuda koi deewar bhi nahi
gunjaaish-e-adaawat-e-aghyaar yak taraf
yan dil mein zof se hawas-e-yaar bhi nahi
dar naala-ha-e-zaar se mere khuda ko maan
aakhir nawa-e-murgh-e-giraftaar bhi nahi
dil mein hai yaar ki saf-e-mizgan se roo-kashi
haalaanki taaqat-e-khalish-e-khaar bhi nahi
is saadgi pe kaun na mar jaae ai khuda
ladte hain aur haath mein talwaar bhi nahi
dekha asad ko khalwat-o-jalwat mein baar-ha
deewaana gar nahi hai toh hushyaar bhi nahi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai