dhamki mein mar gaya jo na baab-e-nabard tha
-e-nabard-pesha talabgaar-e-mard tha
tha mein marg ka khatka laga hua
udne se pesh-tar bhi mira rang zard tha
taaleef nuskha-ha-e-wafa kar raha tha main
majmua-e-khayaal abhi fard fard tha
dil ta jigar ki saahil-e-dariya-e-khoon hai ab
is rahguzar mein jalwa-e-gul aage gard tha
jaati hai koi kashmakash andoh-e-ishq ki
dil bhi agar gaya toh wahi dil ka dard tha
ahbaab chaaraasaazi-e-wahshat na kar sake
zindan mein bhi khayaal bayaaban-naward tha
ye laash-e-be-kafan asad-e-khasta-jan ki hai
haque maghfirat kare ajab aazaad mard tha
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai