dekhna quismat ki aap apne pe rashk aa jaae hai
main use dekhoon bhala kab mujh se dekha jaae hai
haath dho se yahi garmi gar andeshe mein hai
aabgeena tundi-e-sahba se pighla jaae hai
ghair ko yaa rab wo kyoonkar man-e-gustaakhi kare
gar haya bhi us ko aati hai toh sharma jaae hai
shauque ko ye lat ki har dam naala kheenche jaaiye
ki wo haalat ki dam lene se ghabra jaae hai
door chashm-e-bad tiri bazm-e-tarab se waah waah
naghma ho jaata hai wan gar naala mera jaae hai
garche hai tarz-e-taghaaful parda-daar-e-raaz-e-ishq
par ham aise khoe jaate hain ki wo pa jaae hai
us ki bazm-aaraaiyan sun kar dil-e-ranjoor yan
misl-e-naqsh-e-muddaa-e-ghair baitha jaae hai
ho ke aashique wo pari-rukh aur naazuk ban gaya
rang khulta jaae hai jitna ki udta jaae hai
naqsh ko us ke musawwir par bhi kya kya naaz hain
kheenchata hai jis quadar utna hi khinchata jaae hai
saaya mera mujh se misl-e-dood bhaage hai asad
paas mujh aatish-b-jan ke kis se thahra jaae hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai