dahar mein naqsh-e-wafa wajah-e-tasalli na hua
hai ye wo lafz ki sharminda-e-maani na hua
sabza-e-khat se tira kaakul-e-sarkash na daba
ye zamurrad bhi hareef-e-dam-e-afai na hua
main ne chaaha tha ki andoh-e-wafa se chhootoon
wo sitamgar mire marne pe bhi raazi na hua
guzargaah-e-khayaal-e-mai-o-saaghar hi sahi
gar nafas jaada-e-sar--e-taqwi na hua
hoon tire waada na karne mein bhi raazi ki kabhi
gosh minnat-kash-e-gulbaang-e-tasalli na hua
kis se mahroomi-e-quismat ki shikaayat keeje
ham ne chaaha tha ki mar jaaein so wo bhi na hua
mar gaya sadma-e-yak-jumbish-e-lab se ghaalib
naa-tawaani se hareef-e-dam-e-isi na hua
na hui ham se raqam hairat-e-khatt-e-rukh-e-yaar
safha-e-aaina jaulan-gah-e-tooti na hua
wusaat-e-rahmat-e-haque dekh ki bakhsha jaawe
mujh sa kaafir ki jo mamnoon-e-maaasi na hua
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai