daaim pada hua tire dar par nahi hoon main
aisi zindagi pe ki patthar nahi hoon main
kyoon gardish-e-mudaam se ghabra na jaae
insaan hoon piyaala o saaghar nahi hoon main
yaa-rab zamaana mujh ko mitaata hai kis liye
lauh-e-jahan pe harf-e-mukarrar nahi hoon main
had chahiye saza mein uquoobat ke waaste
aakhir gunaahgaar hoon kaafar nahi hoon main
kis waaste azeez nahi jaante mujhe
laal o zamurrad o zar o gauhar nahi hoon main
rakhte ho tum quadam miri aankhon se kyoon daregh
rutbe mein mahar-o-maah se kam-tar nahi hoon main
karte ho mujh ko manaa-e-quadam-bos kis liye
kya aasmaan ke bhi baraabar nahi hoon main
ghaalib wazeefa-khwaar ho do shaah ko dua
wo din gae ki kahte the naukar nahi hoon main
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai