chashm-e-khooban khaamushi mein bhi nawa-pardaaz hai
surma toh kahwe ki dood-e-shola-e-aawaaz hai
paikar-e-ushshaaque saaz-e-taala-e-naa-saaz hai
naala goya gardish-e-saiyyaara ki aawaaz hai
dast-gaah-e-deeda-e-khoon-baar-e-majnoon dekhna
yak-bayaaban jalwa-e- farsh-e-pa-andaaz hai
chashm-e-khooban mai-farosh-e-nashsha-zaar-e-naaz hai
surma goya mauj-e-dood-e-shola-e-aawaaz hai
hai sareer-e-khaama rezish-ha-e-istiqbaal-e-naaz
naama khud paighaam ko baal-o-par-e-parwaaz hai
sar-naawisht-e-iztiraab-anjaami-e-ulfat na poochh
naal-e-khaama khaar-khaar-e-khaatir-e-aagaaz hai
shokhi-e-izhaar ghair-az-wahshat-e-majnoon nahi
laila-e-maani asad mahmil-nasheen-e-raaz hai
naghma hai kaanon mein us ke naala-e-murgh-e-aseer
rishta-e-pa yan nawa-saamaan-e-band-e-saaz hai
sharm hai tarz-e-talaash-e-intikhaab-e-yak-
iztiraab-e-chashm barpa dokhta-ghammaaz hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai