chaak ki khwaahish agar wahshat b-uryaani kare
subh ke maanind zakhm-e- garebaani kare
jalwe ka tere wo aalam hai ki gar keeje khayaal
deeda-e- ko ziyaarat-gaah-e-hairaani kare
hai shikastan se bhi dil naumeed yaa rab kab talak
aabgeena koh par arz-e-giran-jaani kare
mai-kada gar chashm-e-mast-e-naaz se paawe shikast
moo-e-sheesha deeda-e-saaghar ki mizgaani kare
khatt-e-aariz se likha hai zulf ko ulfat ne ahad
yak-qualam manzoor hai jo kuchh pareshaani kare
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai