bisaat-e-ijz mein tha ek yak quatra khoon wo bhi
so rahta hai b-andaaz-e-chakeedan sar-nigoon wo bhi
rahe us shokh se aazurda ham chande takalluf se
takalluf baratraf tha ek andaaz-e-junoon wo bhi
khayaal-e-marg kab taskin -e-aazurda ko bakhshe
mire daam-e-tamannaa mein hai ik said-e-zaboon wo bhi
na karta kaash naala mujh ko kya maaloom tha hamdam
ki hoga baais-e-afzaaish-e-dard-e-daroon wo bhi
na itna burrish-e-tegh-e-jafa par naaz farmaao
mire dariya-e-be-taabi mein hai ik mauj-e-khoon wo bhi
mai-e-ishrat ki khwaahish saaqui-e-gardoon se kya keeje
liye baitha hai ik do chaar jaam-e-waaz-goon wo bhi
mire dil mein hai ghaalib shauque-e-wasl o shikwa-e-hijran
khuda wo din kare jo us se main ye bhi kahoon wo bhi
mujhe maaloom hai jo tu ne mere haque mein socha hai
kahin ho jaae jald ai gardish-e-gardoon-e-doon wo bhi
nazar raahat pe meri kar na waada shab ke aane ka
ki meri khawaab-bandi ke liye hoga fusoon wo bhi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai