be-etidaaliyon se subuk sab mein ham hue
jitne ziyaada ho gae utne hi kam hue
pinhan tha daam sakht quareeb aashiyaan ke
udne na paae the ki giraftaar ham hue
hasti hamaari apni par daleel hai
yan tak mite ki aap ham apni quasam hue
sakhti kashaan-e- ki poochhe hai kya khabar
wo log rafta rafta saraapa alam hue
teri wafa se kya ho talaafi ki dahar mein
tere siwa bhi ham pe bahut se sitam hue
likhte rahe junoon ki hikaayaat-e-khoon-chakan
har-chand is mein haath hamare qualam hue
allaah re teri tundi-e-khoo jis ke beem se
ajza-e-naala dil mein mire rizque-e-ham hue
ahal-e-hawas ki fath hai tark-e-nabard-e-ishq
jo paanw uth gae wahi un ke alam hue
naale adam mein chand hamare supurd the
jo wan na khinch sake so wo yan aa ke dam hue
chhodi asad na ham ne gadaai mein dil-lagi
saail hue toh aashique-e-ahal-e-karam hue
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai