bazm-e-shaahanshaah mein ashaaar ka daftar khula
rakhiyo yaa rab ye dar-e-ganjeena-e-gauhar khula
hui phir anjum-e-rakhshanda ka manzar khula
is takalluf se ki goya but-kade ka dar khula
garche hoon par kyoon dost ka khaaoon fareb
aastin mein dashna pinhan haath mein nashtar khula
go na samjhoon us ki baatein go na paaoon us ka bhed
par ye kya kam hai ki mujh se wo pari-paikar khula
hai khayaal-e-husn mein husn-e-amal ka sa khayaal
khuld ka ik dar hai meri gor ke andar khula
munh na khulne par hai wo aalam ki dekha hi nahi
zulf se badh kar naquab us shokh ke munh par khula
dar pe rahne ko kaha aur kah ke kaisa phir gaya
jitne arse mein mira lipta hua bistar khula
kyoon andheri hai shab-e-gham hai balaaon ka nuzool
aaj udhar hi ko rahega deeda-e-akhtar khula
kya rahoon ghurbat mein khush jab ho hawaadis ka ye haal
naama laata hai watan se naama-bar aksar khula
us ki ummat mein hoon main mere rahein kyoon kaam band
waaste jis shah ke ghaalib gumbad-e-be-dar khula
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai