bas-ki dushwaar hai har kaam ka aasan hona
aadmi ko bhi mayassar nahi insan hona
girya chaahe hai kharaabi mire kaashaane ki
dar o deewar se tapke hai bayaaban hona
wa-e-deewaangi-e-shauque ki har dam mujh ko
aap jaana udhar aur aap hi hairan hona
jalwa az-bas-ki taquaza-e-nigah karta hai
jauhar-e-aaina bhi chaahe hai mizgan hona
ishrat-e-quatl-gah-e-ahal-e-tamannaa mat poochh
id-e-nazzaara hai shamsheer ka uryan hona
le gae mein ham daagh-e-tamannaa-e-nashaat
tu ho aur aap b-sad-rang-e-gulistan hona
ishrat-e-paara-e- zakhm-e-tamannaa khana
lazzat-e-reesh-e-jigar gharque-e-namak-dan hona
ki mire quatl ke baad us ne jafa se tauba
haae us zood-pasheeman ka pasheman hona
haif us chaar girah kapde ki quismat ghaalib
jis ki quismat mein ho aashique ka gareban hona
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai