barshikaal-e-girya-e-aashique hai dekha chahiye
khil gai maanind-e- sau ja se deewar-e-chaman
ulfat-e- se ghalat hai daawa-e-waarastagi
sarw hai ba-wasf-e-aazaadi giraftaar-e-chaman
saaf hai az bas-ki aks-e-gul se gulzaar-e-chaman
jaansheen-e-jauhar-e-aaeena hai khaar-e-chaman
hai nazaakat bas ki fasl-e-gul mein memaar-e-chaman
qualib-e-gul mein dhali hai khisht-e-deewar-e-chaman
teri aaraaish ka istiqubaal karti hai bahaar
jauhar-e-aaeena hai yan naqsh-e-ehzaar-e-chaman
bas ki paai yaar ki rangin-adaai se shikast
hai kulaah-e-naaz-e-gul bar taaque-e-deewar-e-chaman
waqt hai gar bulbul-e-miskin zulekhaai kare
yoosuf-e-gul jalwa-farma hai b-bazaar-e-chaman
wahshat-afza girya-ha mauquoof-e-fasl-e-gul asad
chashm-e-dariya-rez hai meezaab-e-sarkaar-e-chaman
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai