bala se hain jo ye pesh-e- dar-o-deewar
-e-shauque ko hain baal-o-par dar-o-deewar
wufoor-e-ashk ne kaashaane ka kiya ye rang
ki ho gae mire deewar-o-dar dar-o-deewar
nahi hai saaya ki sun kar nawed-e-maqudam-e-yaar
gae hain chand quadam pesh-tar dar-o-deewar
hui hai kis quadar arzaani-e-mai-e-jalwa
ki mast hai tire kooche mein har dar-o-deewar
jo hai tujhe sar-e-sauda-e-intizaar toh aa
ki hain dukaan-e-mata-e-nazar dar-o-deewar
hujoom-e-girya ka saamaan kab kiya main ne
ki gir pade na mire paanw par dar-o-deewar
wo aa raha mire ham-saae mein toh saae se
hue fida dar-o-deewar par dar-o-deewar
nazar mein khatke hai bin tere ghar ki aabaadi
hamesha rote hain ham dekh kar dar-o-deewar
na poochh be-khudi-e-aish-e-maqudam-e-sailaab
ki naachte hain pade sar-b-sar dar-o-deewar
na kah kisi se ki ghaalib nahi zamaane mein
hareef-e-raaz-e-mohabbat magar dar-o-deewar
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai