bahut sahi -e-geeti sharaab kam kya hai
ghulaam-e-saaqui-e-kausar hoon mujh ko kya hai
tumhaari tarz-o-rawish jaante hain ham kya hai
raqueeb par hai agar lutf toh sitam kya hai
sukhan mein khaama-e-ghaalib ki aatish-afshaani
yaquin hai ham ko bhi lekin ab us mein dam kya hai
kate toh shab kahein kaate toh saamp kahlaawe
koi bataao ki wo zulf-e-kham-b-kham kya hai
likha kare koi ahkaam-e-taala-e-maulood
kise khabar hai ki wan jumbish-e-qualam kya hai
na hashr-o-nashr ka quael na kesh o millat ka
khuda ke waaste aise ki phir quasam kya hai
wo daad-o-deed garan-maaya shart hai hamdam
wagarna mehar-e-sulemaan-o-jaam-e-jam kya hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai