baagh pa kar khafquani ye daraata hai mujhe
saaya-e-shaakh-e- afai nazar aata hai mujhe
jauhar-e-tegh b-sar-chashm-e-deegar maaloom
hoon main wo sabza ki zahraab ugaata hai mujhe
muddaa mahaw-e-tamaasha-e-shikast-e- hai
aaina-khana mein koi liye jaata hai mujhe
naala sarmaaya-e-yak-aalam o aalam kaf-e-khaak
aasman baiza-e-qumri nazar aata hai mujhe
zindagi mein toh wo mahfil se utha dete the
dekhoon ab mar gae par kaun uthaata hai mujhe
baagh tujh bin gul-e-nargis se daraata hai mujhe
chaahoon gar sair-e-chaman aankh dikhaata hai mujhe
shor-e-timsaal hai kis rashk-e-chaman ka yaa rab
aaina baiza-e-bulbul nazar aata hai mujhe
hairat-e-aaina anjaam-e-junoon hoon jyoon shama
kis quadar daagh-e-jigar shola uthaata hai mujhe
main hoon aur hairat-e-jaawed magar zauque-e-khayaal
b-fusoon-e-nigah-e-naaz sataata hai mujhe
hairat-e-fikr-e-sukhan saaz-e-salaamat hai asad
dil pas-e-zaanoo-e-aaeena bithaata hai mujhe
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai