az-mehar ta-b-zarra -o-dil hai aaina
tooti ko shash-jihat se muquabil hai aaina
hairat hujoom-e-lazzat-e-ghaltaani-e-tapish
seemaab-e-baalish o kamar-e- hai aaina
ghaflat b-baal-e-jauhar-e-shamsheer par-fishan
yan pusht-e-chashm-e-shokhi-e-quatil hai aaina
hairat-nigaah-e-barque-e-tamaasha bahaar-e-shokh
dar-parda-e-hawa par-e-bismil hai aaina
yan rah gae hain naakhun-e-tadbeer toot kar
jauhar-tilism-e-uqda-e-mushkil hai aaina
ham-zaanoo-e-taammul o ham-jalwa-gaah-e-gul
aaeena-band khalwat-o-mahfil hai aaina
dil kaar-gaah-e-fikr o asad be-nawa-e-dil
yan sang-e-aastaana-e-bedil hai aaina
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai