arz-e-niyaaz-e- ke quabil nahi raha
jis pe naaz tha mujhe wo dil nahi raha
jaata hoon daagh-e-hasrat-e-hasti liye hue
hoon sham-e-kushta dar-khur-e-mahfil nahi raha
marne ki ai dil aur hi tadbeer kar ki main
shaayaan-e-dast-o-baazu-e-quatil nahi raha
bar-roo-e-shash-jahat dar-e-aaeena baaz hai
yan imtiyaaz-e-naaquis-o-kaamil nahi raha
wa kar diye hain shauque ne band-e-naquab-e-husn
ghair-az-nigaah ab koi haail nahi raha
go main raha raheen-e-sitam-ha-e-rozgaar
lekin tire khayaal se ghaafil nahi raha
dil se hawa-e-kisht-e-wafa mit gai ki wan
haasil siwaae hasrat-e-haasil nahi raha
bedaad-e-ishq se nahi darta magar asad
jis dil pe naaz tha mujhe wo dil nahi raha
har-chand main hoon tooti-e-sheerin-sukhan wale
aaeena aah mere muquabil nahi raha
jan-daad-gan ka hausla fursat-gudaaz hai
yan arsa-e-tapeedan-e-bismil nahi raha
hoon quatra-zan b-waadi-e-hasrat shabaana roz
juz taar-e-ashk jaada-e-manzil nahi raha
ai aah meri khaatir-e-waabasta ke siwa
duniyaa mein koi uqda-e-mushkil nahi raha
andaaz-e-naala yaad hain sab mujh ko par asad
jis dil pe naaz tha mujhe wo dil nahi raha
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai