arz-e-naaz-e-shokhi-e-dandan baraae-khanda hai
daawa-e-jamiyat-e-ahbaab ja-e-khanda hai
hai adam mein ghuncha mahaw-e-ibrat-e-anjaam-e-
yak-jahan zaanoo taammul dar-quafa-e-khanda hai
kulfat-e-afsurdagi ko aish-e-betaabi haraam
warna dandan dar afshurdan bina-e-khanda hai
shorish-e-baatin ke hain ahbaab munkir warna yan
dil muheet-e-girya o lab aashna-e-khanda hai
khud-faroshi-ha-e-hasti bas-ki ja-e-khanda hai
har shikast-e-queemat-e-dil mein sada-e-khanda hai
naqsh-e-ibrat dar nazar yaa naqd-e-ishrat dar bisaat
do-jahan wusaat b-quadr-e-yak-faza-e-khanda hai
ja-e-istihza hai ishrat-koshi-e-hasti asad
subh o shabnam fursat-e-nashw-o-numa-e-khanda hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai