aaeena kyoon na doon ki tamaasha kahein jise
aisa kahan se laaoon ki tujh sa kahein jise
hasrat ne la rakha tiri bazm-e-khayaal mein
gul-dasta-e- suwaida kahein jise
phoonka hai kis ne gosh-e-mohabbat mein ai
afsoon-e-intizaar tamannaa kahein jise
sar par hujoom-e-dard-e-ghareebi se daaliye
wo ek musht-e-khaak ki sahra kahein jise
hai chashm-e-tar mein hasrat-e-deedaar se nihan
shauque-e-inan gusekhta dariya kahein jise
darkaar hai shaguftan-e-gul-ha-e-aish ko
subh-e-bahaar pumba-e-meena kahein jise
ghaalib bura na maan jo waaiz bura kahe
aisa bhi koi hai ki sab achchha kahein jise
yaa rab hamein toh khawaab mein bhi mat dikhaaiyo
ye mahshar-e-khayaal ki duniyaa kahein jise
hai intizaar se sharar aabaad rustakhez
mizgaan-e-koh-kan rag-e-khaara kahein jise
kis fursat-e-wisaal pe hai gul ko andaleeb
zakhm-e-firaaque khanda-e-be-ja kahein jise
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai