aaeena dekh apna sa munh le ke rah gae
saahab ko na dene pe kitna ghuroor tha
quasid ko apne haath se gardan na maariye
us ki khata nahi hai ye mera qusoor tha
zof-e-junoon ko waqt-e-tapish dar bhi door tha
ik ghar mein mukhtasar bayaaban zaroor tha
ai waae-ghaflat-e-nigah-e-shauque warna yan
har paara sang lakht-e--e-koh-e-toor tha
dars-e-tapish hai barque ko ab jis ke naam se
wo dil hai ye ki jis ka takhallus suboor tha
har rang mein jala asad-e-fitna-intizaar
parwaana-e-tajalli-e-sham-e-zuhoor tha
shaayad ki mar gaya tire rukhsaar dekh kar
paimaana raat maah ka labrez-e-noor tha
jannat hai teri tegh ke kushton ki muntazir
jauhar sawaad-e-jalwa-e-mizgaan-e-hoor tha
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai