aah ko chahiye ik umr asar hote tak
kaun jeeta hai tiri zulf ke sar hote tak
daam-e-har-mauj mein hai halqua-e-sad-kaam-e-nahang
dekhein kya guzre hai quatre pe guhar hote tak
aashiqui -talab aur tamannaa betaab
ka kya rang karoon khoon-e-jigar hote tak
ta-quayaamat shab-e-furqat mein guzar jaaegi umr
saat din ham pe bhi bhaari hain sahar hote tak
ham ne maana ki taghaaful na karoge lekin
khaak ho jaaenge ham tum ko khabar hote tak
partaw-e-khur se hai shabnam ko fanaa ki taaleem
main bhi hoon ek inaayat ki nazar hote tak
yak nazar besh nahi fursat-e-hasti ghaafil
garmi-e-bazm hai ik raqs-e-sharar hote tak
gham-e-hasti ka asad kis se ho juz marg ilaaj
shama har rang mein jalti hai sahar hote tak
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai