aabroo kya khaak us ki ki gulshan mein nahi
hai gareban nang-e-pairaahan jo daaman mein nahi
zof se ai girya kuchh baaqui mire tan mein nahi
rang ho kar ud gaya jo khoon ki daaman mein nahi
ho gae hain jama ajza-e--e-aaftaab
zarre us ke ghar ki deewaaron ke rauzan mein nahi
kya kahoon taareeki-e-zindaan-e-gham andher hai
pumba noor-w-subh se kam jis ke rauzan mein nahi
raunaque-e-hasti hai ishq-e-khana weeran saaz se
anjuman be-shama hai gar barque khirman mein nahi
zakhm silwaane se mujh par chaara-jui ka hai taan
ghair samjha hai ki lazzat zakhm-e-sozan mein nahi
bas-ki hain ham ik bahaar-e-naaz ke maare hue
jalwa-e-gul ke siwa gard apne madfan mein nahi
quatra quatra ik hayoola hai nae naasoor ka
khoon bhi zauque-e-dard se faarigh mire tan mein nahi
le gai saaqui ki nakhwat qulzum-aashaami miri
mauj-e-mai ki aaj rag meena ki gardan mein nahi
ho fishaar-e-zof mein kya naa-tawaani ki numood
quad ke jhukne ki bhi gunjaaish mire tan mein nahi
thi watan mein shaan kya ghaalib ki ho ghurbat mein quadr
be-takalluf hoon wo musht-e-khas ki gulkhan mein nahi
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai