aa ki miri jaan ko quaraar nahi hai
taaqat-e-bedaad-e-intizaar nahi hai
dete hain jannat hayaat-e-dahar ke badle
nashsha b-andaaza-e-khumaar nahi hai
girya nikaale hai teri bazm se mujh ko
haae ki rone pe ikhtiyaar nahi hai
ham se abas hai gumaan-e-ranjish-e-khaatir
mein ushshaaque ki ghubaar nahi hai
se utha lutf-e-jalwa-ha-e-maaani
ghair-e-gul aaeena-e-bahaar nahi hai
quatl ka mere kiya hai ahad toh baare
waae agar ahad ustuwaar nahi hai
tu ne quasam mai-kashi ki khaai hai ghaalib
teri quasam ka kuchh etibaar nahi hai
Responses
No comments yet. Be the first to respond.
kashaakash ha hasti se kare kya sai aazaadi
hui zanjeer mauj aab ko fursat rawaani ki
nashsha ha shaadaab rang w saaz ha mast tarab
sheesha-e mai sarw sabz joybaar naghma hai
wafa dalabran hai ittifaaqui warna ai hamdam
asar fariyaad dil ha hazin ka kis ne dekha hai
b sakhti ha quaid zindagi maaloom aazaadi
sharar bhi said daam rishta-e rag ha khaara hai
tasawwur bahar taskeen tapeedan ha tifl dil
b baagh rang ha rafta gul chain tamaasha hai
baja hai gar na sune naala haaye bulbul zaar
ki gosh gul nam shabnam se panba aagin hai